Monday, September 10, 2007

Gulzarish-II

Some more...

1. Unka hum-safar ban saku..
aisi kismat kaha..

Mere hum-safar bane...
itne wo bad-kismat nahi!

2. Rishto ko Panapne ka mauka to do..
Jazbaaton ko apne...
kabhi aawaj deke to dekho...

Mohabbat Itni bhi buri cheez nahi
Iske aagosh mein aake to dekho.

3. Baatein us se na jaane kitni hoti hai
aur na jaane kab se hoti aa rahi hai..

Par fer bhi kabhi...
Jee bhar ke baatein nahi ho paati us se

4. Use umeed bhi thi...
aur intzaar bhi..
Ke guftgu karunga main jaroor...

Aur shayad...aisi hi koi umeed is taraf bhi thi.

5. Sab kuch waise hi hai..
jaisa roz hota hai...
par shayad sab kuch waisa nahi..

darasal...kuch khafa si hai aaj wo.

6. Kaise dikhaye mohabbat ki inteha hoi...
jazbaat hai ye...koi numaish ka samaan to nahi

7. Kuch khaalipan sa tha din mein...
ek adhoorepan ka ehsaas liye...

tujhse guftgu na ho to...din mukkamal nahi lagta

8. Kabhi Socha na tha ke itni mohabbat hogi kisi se...
kasoor mera...ya khoobi teri kahu ise..

9. Aati to hai unhe bhi humari yaad...
Humse guftgu ka mann to unka bhi karta hai...

farq sirf ye hai ki..
unhe kuch chupana bhi bakhoobi aata hai.

10. Zindagi se koi khaas mohabbat nahi mujhe...
...armaa bas itna hai ke tere aagosh mein dum nikale

kamas-kam wo maut to sukoon ki hogi..


To b contd...

No comments: